Thursday, January 26, 2012

Kabhi Aisa bhi Zamaana Aata hai..

कभी ऐसा भी ज़माना आता है !

जब 'नूर' अकेला हो जाता है 

हर ओर खुशियों की महफ़िल लगती है,
पर मन तन्हा कहीं बैठ जाता है.

ऐसा भी ज़माना आता है !

नज़र नहीं आता जब मक्सद किसी में,
नहीं दिखती जब राहें कहीं पर.
हंसी के ठहाके जब पराये होते हैं.

ऐसा भी ज़माना आता है !

संगीत जब छू कर निकल भी जाता है,
पर एहसास नहीं देता.
नज़ारे सामने ही हो कर भी नज़र नहीं आते.
हर एक चेहरा जब अनजाना लगता है.

ऐसा भी ज़माना आता है !



'नूर'


For my hindi-retarded readers, in Roman Script :- 


Kabhi aisa bhi zamaana aata hai !

Jab 'noor' akela ho jaata hai

Har ore khushiyon ki mehfil lagti hai,
Par man tanha kahin baith jaata hai.

Aisa bhi zamaana aata hai !

Nazar nahin aata jab maksad kisi mein.
Nahin dikhti jab raahein kahin par.
Hansi ke thahake jab paraaye hote hain.

Aisa bhi zamaana aata hai !

Sangeet jab choo kar nikal bhi jaata hai,
par ehsaas nahin deta.
Nazaare saamne hi hokar bhi nazar nahin aate.
Har eik chehra jab anjaana lagta hai.

Aisa bhi zamaana aata hai !



'Noor'





1 comment:

  1. very nice..:) ye zamana vo zamana hota hai jab fir se nai buniyaad bhari jaa rahi hoti hai khud ko pata nahi chalata aur buniyaad mazboot hoti jaati hai. very good work keep writing..

    ReplyDelete